Powered By Blogger

Search This Blog

Monday, April 19, 2010

A Converation... (Between Me & my Friend Preeti)

On 17th April 20X... Near about 12 midnight.. I was online and suddenly my School friend Preeti came online! We started chatting. It ws after a long time we interacted! Slowly the conversation took turn towards Shayari.. and it started like this... She said...

Preeti: Tujhko paa lene mein ab wo betaab kaifiyat kahan...
Zindagi to wo thi jo teri justujoo mein guzar gayi...
_____________________________________________________________________

After a while... i joined her... And... Here... :)

Preeti: Main tum ko dekh ke har baat bhool jaati hun...
tumhi batao mujhe tumse kaam kya kya hain...

Ashish: Tumhe dekh kar to raaste bhi bhul gya hun....
Tum hi bata do hamare maqam kya kya hain...
Humne to tujhse milne ko jaan hazir ki hai...
Tu bhi bata de meri maiyyat k tere paas intezam kya kya hain...

Preeti: Waqt-e-rukhsat usne mud kar kuch is tarah dekha....
Ke main dil pe haath na rakhti to mera dil nikal jaata...

Ashish: Waah!!!

Preeti: Now comes one of the best lines i have ever heard in my whole life..!

Ashish: Irshaad!

Preeti: Daira hai ki tootta hi nahin...
Main khud se niklun to tumse baat karun...

Ashish: Ab yun nahi milti khushi har mod pe...
Kabhi lab-e-tarannum bikhre to tumse baaat karun...

Preeti: Ik umar se aadat hai tere sham-o-saher ki...
Ab kaun teri yaad ke mamool se nikle.....

Ashish: Yun to fariyad sabhi karte hain khuda se...
Par wo hi ek phool hai jo babool se nikle...

Preeti: awesome...
wo hi ek phool hai jo babool se nikle..

Ashish: Wo lafz hi kya jo befizool nikle...


Preeti: Wo kya gaya ke rafaaqat ke saare lutf gaye...
Mein kis se rooth sakungi, kise manaungi...

Ashish: Kya baat hai!!!!
Aaj mera Ghalib jaga diya tune...

Preeti: :)


Preeti: Palat kar na aajaye fir saans nabzon me...
Itne haseen hathon se maiyyat saja raha hai koi...

Ashish: Hum khush hain apne janaaze me sahrik hoke...
Ke is rukhsat-e-mehfil ko dekh kar bhi muskura rha hai koi...

Preeti: Hum tumse kya maange lage wafa ka takaaza de kar.....
Yahan to na ashk aur na muskurahatein wafadaar hain...

Ashish: Ab har mod pe saudagar khade hain...
Yahan ek phool ke kai maali daavedaar hain...

Preeti: Wohi likhne padhne ka shauq tha, wohi likhne padhne ka shauq hai...
Tera naam likhna kitaab mein, tera naam padhna kitaab mein...

Preeti: Dil dhadakne ka sabab yaad aaya...
Wo teri yaad thi ab yaad aaya...

Ashish: Dil ne kaha ab kyun muskura rhe ho...
Wo teri hi baat thi ab yaad aaya...

Preeti: Mana Ki Muhabbat Ka Chupana Bhi Hai Muhabbat..
Chupake Se Kisi Roz Yeh Jatane Ke Liye Aaa...!

Ashish: Mana ki hogi puri meri har hasrat...
Chupke se kisi roz yeh jatane ke liye aaa...

It was a lovely conversation...

Now Preeti ended the session with these lines...



Preeti: Aur Kuch Der Na Guzare Shab-e-Furqat Se Kaho..
Dil Bhii Kam Dukhataa Hai Vo Yaad Bhii Kam Aate Hain!

Preeti: Ek baat juda mujh mein, ek baat juda tujh mein...
Mein saaye say Jalta hoon, tu aag ka saaya hai.

:)

No comments:

Post a Comment