Powered By Blogger

Search This Blog

Monday, March 10, 2014

By A Friend...

Ages it has been…..
My hand still lays stretched out.
For someone I don't know,
For someone I've never seen.
But felt through my thoughts,
The person, my own….
Still has never shown,
The presence I need.
Ah..it pains and makes me weak,
To search in vain for that I seek.

Ages it has been…..
Countless smiles and countless tears,
Though reside deep in my heart,
But still my hand lays stretched out.

Time will tell, as for now I cant spell,
The emotions overflowing,
Resting behind my own words.

Oh God!!!
Is it me??
Whom I long for….

I don't know and shall never will,
Because who in this world has befriended himself?

Ages it has been…
My hand still lays stretched out....
-Preeti Suman... :)

Tuesday, July 23, 2013

Kuch Alfaaz...

Main Faqeeron Se Bhi Karta Hun Tijarat Aksar...

Jo Ek Paise Mein Lakhon Ki Duaein Dete Hain...

========================================================================

Chalo So Jate Hain Ab Phir Kisi Sach Ki Talaash Mein...

K subah Phir Is Jhooti Duniya Ka Deedar Karna Hai...

========================================================================

Jism Jala Hai... Dil Bhi Jal Gaya Hoga...

Kuredte Ho Rakh Ko... Justju Kya Hai...

========================================================================

Rootha Agar Tujhse To Is Andaaz Se Roothoonga…

Tere Shehar Ki Mitti Bhi Mere Wajood Ko Tarsegi…

========================================================================

Maana Ke Gham Ke Baad Milegi Musarratein...

Lekin Jiyega Kaun Teri Berukhi Ke Baad...

========================================================================

Mohabbat Ki Inteha Tak Jaane Ki Khwahish Hai Tujhse…

Khud Se Bhi Badhkar Chahne Ki Khwahish Hai Tujhse…

Tu Rahe Saath Hamesha Har Zarre Har Pal Ki Ilteja Hai…

Deewanepan Ki Hadon Se Aage Guzar Jaane Ki Khwahish Hai Tujhse…

========================================================================

Us Shaqs Se Faqat Itna Sa Talluq Hai Kafir...

Unhe Na Dekhein To Humein Neend Nahi Aati...

========================================================================

Kabhi Aankhon Mein Jhaank Kar Dekhte To Pata Chalta...

Har Baat Bayaan Karne Ki Zehmat Zubaan Nahi Uthati...

========================================================================



Friday, November 9, 2012

Do Alfaaz...



Kaun Kehta Hai Waqt K Paas Har Dard Ka Marham Hota Hai Kafir...
Kuch Zakhm Sadiyon Ke Baad Bhi Taaza Raha Karte Hain...
************************************************************ 
Zindagi Ki Keemat Tab Samajh Mein Aayi...
Jab Saans Rukne Ko Thi Aur Unka Kuch Pata Na Tha...
*************************************************************
Woh Kehta Tha Tujhse Bichad K Viraan Ho Jayenge Hum...
Aaj Poore Sheher Mein Sabse Roshan Ghar Uska Mila…
************************************************************
Wo Tasveer Laakhon Mein Bik Gayi...
Jis Mein Roti Ke Bagair Bacha Udaas Tha...
*************************************************************
Jahan Dekho Ishq Ki Imartein Hain...
Hazaron Lutt Chuke Laakhon Taiyar Baithe Hain...
*************************************************************

Sunday, July 8, 2012

Kafiyat Continued..

Guzre Din Tumhare Bin... Har Palchhin, Ab Taare Gin...
Thehre Pal Hain Aaj Kal... Tanha Mann, Palkein Bojhal...
Tere Saath Wo Din Raat... Guzaare The Jo, Hathon Haath...
Tujhse Ye Aashiyana... Har Pal Mera... Kafiyat-o-Kafiyana...
                                  -Kafir... <3


Wednesday, April 18, 2012

Khuli Kitab...


Ek Ajeeb Si Dastaan Hun Main,
Nahi Kuch Pata K Kahan Hun Main…
Har Nazar Jise Hai Dhundhati,
Ek Aisa Keh-Kashaa Hun Main…

Hun Nazar Ka Dhokha Ya Khwab Hun Main,
Ye Samajh Lo Ek Ittefaak Hun Main…
Rahe Khwahishon Mein Jo Sada,
Ek Aisi Tamanna Hun Main…

Nahi Khwahishon Se Door Bahut,
Arzoo Dil Main Liye Hun Main…
Apni Baatein Main Khud Ko Kya Bataun,
Ke Zindagi Mein Kahan Hun Main...

Is Ajnabi Duniya Main Tanha Sa Ek Khwab Hun...
Sawaalon Se Khafa Chota Sa Ek Jawab Hun...
Jo Na Samajh Sake Unke Liye Main "Kaun"...
Aur Jo Samajh Gaye Unke Liye Ek "Khuli Kitab" Hun...

Saturday, February 11, 2012

Agar...

Vaadon Se Agar Rishte Mazbut Hua Karte,
To Koi Insaan Yun Vaade Toda Na Karta...
Agar Yun Hi Qabul Ho Jati Har Dua,
To Sajde Mein Yun Koi Ibadat Na Karta...

Agar Mil Jaati Har Chiz Yun Hi Asaani Se,
To Yun Toot Ke Koi Itni Chahat Na Karta...
Jeena Agar Itna Khushnuma Hota Jag Mein,
To Yun Har Pal Ghut Ghut Ke Koi Na Marta...

Agar Wafa Ka Jaam Itna Hi Meetha Hota Har Raah Par,
To Yun Bewafaai Ki Mehfilein Koi Shumar Na Karta...
Nafrat Itni Hi Pasand Hoti Is Dunia Ko Agar,
To Yun Har Dil Toot Ke Bhi Mohabbat Na Karta...


-Ashi... Kafir...

Thursday, January 5, 2012

Saathi-E-Saqi Part-1

Kuch Is Tarha Guzarti Ab, Humari Har Shaam Hai,
Ek Haath Tasveer Unki To, Ek Haath Mein Jaam Hai!


Bekaar Hai Yaad Dilana ,Ke Shaye(company) Ye Haram Hai,
Sab Kuch Bhool Jaate Hain ,Jab Koi Leta Unka Naam Hai!


Hum To Yahi Kahenge, Mai(Liquor) Be-Wajah Badnam Hai,
Dard-E-Dil Se Humko To , Pahunchati Ye Aram Hai!


Tabah Karti Hai Sharab, Ghalat Is Per Ilzam Hai,
Madadgar Ka Badnam Hona To, Qudrat Ka Nizam Hai!

Hum Ghamkharon Ka Mai Ko, Tah-E-Dil Se Salam Hai,
Bina Iske To Khuda Jaane, Kya Humara Anjam Hai!

CHEERS TO LIFE :P
-Ashi... /<@f!R... Its Gud 2 B Back ;)

Monday, May 9, 2011

देर कितनी लगती है...

आग हो तो जलने में देर कितनी लगती है,
बर्फ के पिघलने में देर कितनी लगती है…


चाहे कोई रुक जाये चाहे कोई रह जाये,
काफिलों को चलने में देर कितनी लगती है,


चाहे कोई जैसा भी हमसफ़र हो सदियों से,
रास्ता बदलने में देर कितनी लगती है…


ये तो वक़्त के बस में है कितनी मोहलत दे,
वरना वक़्त ढलने में देर कितनी लगती है…


सोच की ज़मीनों पर रास्ते जुदा हों तो,
दूर जा निकलने में देर कितनी लगती है…


मोम का पुतला ले कर धूप में निकल आना,
और फिर देखना पिघलने में देर कितनी लगती है…


-Ashi…

Saturday, May 7, 2011

क्या फर्क पड़ता है...

क्या फर्क पड़ता है!
जम्हुरिअत हो या अम्लियत...
हम मग्न हैं अपनी जिंदगी में..
फुर्सत ही नहीं है... सोचने की, समझने की... बदलने की...
अच्छा ही है! बदल कर करेंगे क्या???
कितने वज़ीर-ऐ-आज़म, सदर और जरनैल बदले...
पर बदला... कुछ भी नहीं...
गलती हमारी है... हमने कभी पूछा ही नहीं...
पेट्रोल महंगा हुआ... CNG पर आ गए...
बिजली नहीं मिली... U.P.S./इन्वेर्टर ले लिया...
आटा गायब हुआ... सब्र कर लिया...
चीनी महंगी हुई... कुछ भी नहीं किया :/
हज़ारों खबरें... न्यूज़ चैनल्स.. Sting Operations...
पर... बदला... कुछ भी नहीं...

क्यूँ???

क्यूँ कि हमें आदत हो गयी है...
आदत... अपने हक गवाने की...
आदत... अपना पेट कटवाने की...
नीचे... और नीचे दबते ही जाने की...

अभी भी वक़्त है... जागो!!!
नहीं तो इसी तरह ज़िल्लत की कब्र में दबते जाओगे.
उठो! वरना कभी नहीं जान पाओगे...

"क्या फर्क पड़ता है..."

-Ashi...

Wednesday, March 23, 2011

Yaadein...

Raah Dekhi Thi Is Din Ki Kabse,
Aage Ke Sapne Sajaae The Na Jane Kab Se...
Bade Utavle The Yahaan Se Jaane Ko,
Zindagi Ka Agla Padaav Paane Ko...

Par Na Jane Kyun Dil Mein Aaj Kuch Aur Aata Hai,
Waqt Ko Rokne Ka Jee Chaahta Hai...
Jin Baton Ko Lekar Rote The Aaj Un Par Hansi Aati Hai,
Na Jane Kyun Aaj Un Palon Ki Bahut Yaad Aati Hai...

Kaha Karta The, Badi Mushkil Se Teen Saal Seh Gaya,
Par Aaj Kyun Lagta Hai Ki Kuch Peeche Reh Gaya...
Na Bhoolne Wali Kuch Yaadein Reh Gayi,
Yaadein Jo Ab Jeene Ka Sahara Ban Gayi...

Meri Taang Ab Kaun Kheencha Karega,
Sirf Mera Sar Khane Kaun Mera Peecha Karega...
Jahan 500 Ka Hisab Nahin Wahan 5 Rupay Ke Liye Kaun Ladega,
Kaun Raat Bhar Mere Saath Jaag Kar Padhega...

Kaun Meri Byk Mujhse Pooche Bina Le Jaega,
Kaun Mere Naye Naye Naam Banaega...
Mein Ab Bina Matlab Kis Se Ladunga,
Bina Topic Ke Kisse Faaltu Baat Karoonga...

Kaun Fail Hone Par Dilasa Dilayega,
Kaun Galti Se Zada Number Aane Par Gaaliaan Sunaega...
Canteen Mein Chai Kis Ke Saath Piyunga,
Wo Haseen Pal Ab Kis Ke Saath Jiyunga...

Aise Dost Kahaan Milenge Jo Khai Mein Bhi Dhakka De Aayein,
Par Fir Tumhein Bachane Khud Bhi Kood Jayein...
Mere Gaano Se Pareshan Kaun Hoga,
Aur Mujhe Kisi Ladki Se Baat Karte Dekh Hairan Kaun Hoga...

Kaun Kahega Saale Tere Joke Pe Hansi Nahin Aai,
Kaun Peeche Se Bula Ke Kahega, "Ramu, Aage Dekh Bhai!"...
Movies Main Kiske Saath Dekhunga,
Kis Ke Saath Boring Lectures Jhelunga...

Achanak Bina Matlab Ke Kisi Ko Bhi Dekh Kar Hasna,
Lecture Mein Hamesha Der Se Ghusna...
Doston Ke Liye Professor Se Ladna,
Munni Aur Sheela Ke Liye Dil-o-Jaan Se Marna...

Raat Ko 10 Baje Dhani Ram Ke Paas Kaun Jaega,
Tez Byk Chalane Ki Shart Kaun Lagaega...
Kaun Mujhe Meri Kabiliyat Par Bharosa Dilaega,
Aur Zyada Hawa Mein Udne Par Zameen Pe Laege...

Bina Dare Sachi Rae Dene Ki Himmat Kaun Kar Paega...
Meri Khushi Mein Sach Mein Khushi Kaun Manaega...
Kaun Mere Gham Mein Mujh Se Jyada Aansu Bahaaega...
KEH DO DOSTON YE WAQT DOBAARA KAB AAEGA!!!

-Ashi....