Shikayat Ye Nahi Ke, Wo Naraz Hai Hamse
Muskurane Ka Hak Bhi Cheena, Is Baat Ka Gam Hai
Shikayat Ye Nahi Ke, Dil Pe Mere Zahakam Diya
Karahane Ka Hak Bhi Cheena, Bas Is Baat Ka Gam Hai
Shikayat Ye Nahi Ke, Gairo Se Milte Hai Wo Has Ke
Par Mulakatein Hoti Hai Kabr Pe Meri, Bas Is Baat Ka Gam Hai
Shikayat Ye Nahi Ke, Giraya Hamein Apni Hi Nazron Mein
Zamin Bhi Na Chodi Girne Ko, Bas Is Baat Ka Gam Hai
Ja Mera Dil Todne Wale, Har Khushi Meri Tujhpe Qurban
Maang Lena Zarurat Pe Jaan Bhi,Ke Tere Sadke Pe Hum Hai...
No comments:
Post a Comment