Powered By Blogger

Search This Blog

Wednesday, February 10, 2010

meri khamosh mohabbat ka sila kuch bhi nahin
maine chaaha bhi tujhe aur chaaha bhi nahin

waqt ke saath muqaddar pe yakeen hota gaya isliye
humne dua mein tujhe manga bhi nahin

jaam-e-ulfat bada meetha hota hai yeh sab kehte hain...
zaika iska to humne kabhi chakha bhi nahin

teri lagan mein tujhse bhi aage nikal gaye
tere musafir ne peeche mud kar dekha bhi nahin

umeedon se bhari nazaron se tujhe takti rahi main
par tune ek baar meri khamosh nigahon ki taraf dekha bhi nahin

zindagi mein tujhse mili khushiyaan itni
ki dil mein koi khwaish maine rakhi bhi nahin

dil karta hai pyar tumde bahut
jante hain shayad tumhe ye maloom bhi nahin

No comments:

Post a Comment